Wednesday 29 May 2013


Sunday, 11 December 2011

TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS

Ye amal andheray me kia jata he, rat ke waqt kisi tanha kamra me karna hoga, qibla rukh beth kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli rakhni hon gi or khuli ankhon se andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay mojood he. bawuzoo ho kar shuroo karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib kia jay or sirf amal ke waqt pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e amal khusboo ka istimal rahay kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt hamzad ka koi bhi bakhoor sulgain. parhez sirf or sirf sharai mamnooat or makroohat se he, jo marzi khain piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram he or shariyat ka halal halal he. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se parhez karain koi parhez e jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana 2100 bar wird karain magar awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen andhairy me markooz rakhen ke hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain amal ye he.
یا فلاں اُحْضُرُ اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
falaan ki jaga apna nam lagaya jay, hamzad 21 yom me hazir hoga agar Allah na karay hamzad hazir na ho to doobara or seh baara bhi karain hargiz hargiz nakam nahin hon gay, istqlal shart he, mashoor badshah temoor se kisi ne poocha ke tumhari kamyabi ka raz kia he to us ne kaha ke me ne ek ghaar me ye chiyoonti se sikha tha woh diwar pe charhti or gir jati bar bar nakam hoti rahi magar us ne himat na hari or akhir kaar kamyab ho gai, taskhir e hamzad ek bahot bari kamyabi he, Allah ki bahot barri nemat he jim e latif, or isay panay keliy jitni bhi mehnat ki jay bahot kam he, aj insan ye chahta he ke hamzad jesi quwat bhi bas chand rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil he qk me ne tafsilan byan kia ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain or un me jo khatrat chupay hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e hamzad qurani amal se hi ki jay qk ek to us me hamzad hi hazir hota he dusra us me kuch gunah nahin or teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke nuqsan ka matliqan khadsha nahin. Ab aata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye amal kis qadar mooasar he, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye bakhoobi janty hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty hain or ye bhi nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo koi muqarib muakil he ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi he or muakil bhi rooh ul amin, yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se bhi hujam me barh kar he woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke pas bheja Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa band e shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko kamyab farmay  Amin.
Amal in English is as:
YAA (YOUR NAME) OHZOROO OHZOROO BEHAQQI ROOH UL AMEEN

111 comments:

  1. AOA,
    ummar bahi apka boht boht shukariya ke apne itna zazardast amal post kiya , bs ek sawal hai ke kya is amal main bhi yeh zaroori hai ke amal ke doran jis kamre main kiya ja raha hai uss kamre main koi nai jaye.....
    Reply
  2. A.O.A nahin is amal me esi koi shart nahi he, lekin paki or safai ka az had dhayan rahay or us kamra me tasveeren na hon or rat ke waqt tanha rahay or behtar he ke rat ko amal ke bad bhi wahin soya jay.
    Reply
    Replies
    1. kiya apna pura naam lena hey farz karey key pura naam hey "Zahid Faisal" tu kiya sirf zahid kehna hey ya pura naam Zahid Faisal lena hey.
  3. SALAM hazrat
    bohot achcha amal he magar hazrat fi-zamaoa sharaee parhez bohot mushkil he.es liye aisy amal me kadam rakhne se dil hichkichata he...!
    Reply
  4. Isliy is blog me mein har qism ka amal pesh karta hoon sifli bhi shetani bhi or qurani bhi, or ziada tar muslman bhaiyon ki farmaish thi ke qurani amal pesh kia jay. amal hamesha apny tabayi milan ko dekh k muntakhib karain jiski tabiat qurani amal ki taraf mail ho woh bhai qurani amal karain or jin ki sifli ki taraf woh sifli or tamam qism ke amliat tamam tar sharait ke sath karain. qurani, shetani or sifli amal me zamin asman ka farq he jesa amal ho wesa hi uskay nukat dhayan mein rakhain.
    Reply
  5. aslam-o-alaykum Janab Umar sahib mai hamzad kay baray kuch knowledge rakhta hn kia ap meri rehnomai kerain gay? mai janana chahta hn kay kai log kehtay hain or suna bi hai kay hamzad ko kuch mashqon kay baghair taskheer nahi kia ja sakta ess bat mai kitni sachai hai? kia ap nay hamzad ko taskheer kia hai? or nasma kia cheez hai? baraye mehrbani meray enn sawalon ka jawab anayat ker kay shukeria ka moqa dain.
    Ap ki duwaon ka talbgar Noor Muhammad
    Reply
  6. Assalam O ALikum
    Dear Brother Umar
    Quran ki aek ayat Sourah Mominon Ayat No.97-98 bhi Hamzad ki taskheer k lya use hoti ha janab 371 mrtba daily bad esha pusht p cherga jalla ka amal kerty han.

    Qaiser Chishti
    0333-6546043
    Reply
  7. salam hazrat
    janzani tashkheer hamzad me kuch amaliat diye he aur likha he ye amal har mazhab k log kar sakte he to,ye amal kaun se kahlate he shaitani...?
    ya..?
    Reply
  8. aslam o alaykum janab umar sahib ap nay meray sawalon ka jawab nahi dia mai intazar ker raha hn beraye meherbani meray swalon ka jawab dain
    Khair Andesh Noor Muhammad
    Reply
  9. reply to NOOR MUHAMMAD, janab me ne is blog me tafsilan bataya he ke mashqain apko astral travel sikhati hain ye meditation ki qism he ye roohaniyat nahi, or hamzad ek rooh he, or me ne rooh pe pooray qurani istadlal se bataya ke Allah ne quran me farmaya ke woh tum se rooh ke bary sawl karty hain keh do ke woh mery rab ke hukam se he, or jo mustanad or sahi ahadis thin woh bhi byan kar din ap is blog ko tafsilan study kar lain, janab taskhir e hamzad keliy concentration chahiy mesmrisom ka mahir ban,na nahi, or bhai jan ye jo jahilon ka khas tola ye kehta ke mashqain zaroori hain uski waja unka nazriya he wo kehty hain ke hamzad hamaray shaoor me soya hota he pehlay usay mashqon se jagaya jata he, لا حول ولا قوۃ ye bat Quran e majid ke sarih khilaf hai ap kisi alim e deen se to poochain, me nehin kehta ke meri ray ko haq samjhain ap poori dunia ke kisi bhi alim e deen se poochain wo ap ko batain gy. Quran me Allah ne irshad farmaya sura ق mein "uskay sathi (Qareen) ne arz kia ye jo meri sapurdagi me tha hazir e khidmat he" agay bhi qareen hi lafz aya, pehli bar ke mutaliq kuch Sahaba ki ray he ke ye sathi shetan he kuch kehty hain ke farishta, agay jab phir yahi lafz aya jab us sathi ko jahanam me dalny ka Allah ne hukm dia to us pe tamam umat mutafiq he ke woh sathi shetan he or isi ko baz ulma e karam nafs e amara ya hamzad kehty hain, mujhay ek bat batain k Allah ne Jo sathi insan ke sath lagaya agar woh sa raha he to phir uski duty kon karta he? or ye jo hazrat soofiyana istlahat use karty hain rooh ke baray me to mery bhai haqiqat wahi he jo Quran o Sunat se sabit ho or rooh kia he ye koi nahi janta siway Allah ke, agar ap ne ye blog poora parha hota to apko ye sawalat karny ki zaroorat hi na hoti main ne in mashqon ki haqiqat pehly hi bayan kar di, is waqt hindustan ke Dr.Ishwar Puri baht mash,hoor hain meditation ke hawalay se me ne unki ek video di he ap woh dekhain apko roohaniyat or riazat me farq pata chal jay ga wo yeni hindoo bhi man gay ke unkay dharm me jo yoga he wo roohaniyat nahin magar ye musalman pata ne kia sabit karnay pe tulay hain, Hamzad ko to in nam nihad amlin ne mazaq hi bana lia he na khof e khuda he na sharm, ye log khood bhi gumrah hain or oron ko bhi gumrah karty hain, agar kisi ko pata hota ke rooh kia he to jab islam aya to kia yahoodi ye bat poochnay keliy Nabi Kareem s.a.w.w ka imtihan lety? mujhay ek sahi hadis bata dain, ek esi ayat bata dain jo rooh ki haqiqat pe roshni dal sakay, ham bas itna janty hain ke rooh Allah ke amar se he. or jahan tak bat he mery qabza me hamzad honay ki to me pehlay bhi jawab day chuka, or koi agar ap se ye kehta he ke uskay qabza me hamzad he to yahi uskay jhoota honay ka khula saboot he qk ye roohaniyat or amliyat ke tamam tar asoolon ke khilaf he. agar kisi ke qbza me hamzad ho ya koi bhi or roohani taqat wo kisi ko bata nahin sakata, haan azad kar day to or bat he.
    Reply
  10. REPLY TO QAISAR CHISHTI: Janab ap ne sura muminoon ki jo ayat ka amal byan farmaya us me bhi ek raz or nukta ki bat he kash al barni ki rajoo e hamzad me bhi ye amal darj he magar ghalti ke sath, is blog ko parhnay walon ki maloomat keliy bata doon ke un ayat ka tarjma he "KEH DIJIY KE AY MERAY RAB ME TUJH SE PANAH MANGTA HOON SHETAN KE WASWASON SE OR IS BAT SE KE WO MERY PAS AYEN" is me lafz hamaazat aya he iska matlab he waswasa, ye ayat shetan ko bhagany keliy or uskay makar o fareb se bachnay keliy parhain, or wo nukta ye he ke ye amal qurani nahi jadoo ka he or ye jo ayat e mbarka he us me lafz ھمزات ko ہمزاد se badal kar parhanay se kia jata he. wassalam
    Reply
  11. REPLY TO MUHAMMAD RAFIQUE, Bhai jan wo amliat maraqba ye meditation ke zumra me atay hain, me ne kinds of rituals wali post me likha he ye, or me inki sehat ka qail nahin uski waja ye he ke ek medical doctor honay ke naatay mujhay ilm he ke esi koshish me waqt hi zaya hoga q k jo amliayat hain wo roohaniyat se taluq rakhty hain medical science na many magar ek muslman keliy rooh ko man,na lazim he, or kabhi ap ne socha ke amal parhnay se hamzad hazir q hota he? ya koi bhi or roohani quwat hazir honay pe q majboor hoti he uski waja ye he ke apka amal or wazifa usay apkay qadmon me la phenkta he wo quwat na bhi chahy usay hazir hona parta he. or kamyabi ka daromadar hi isi bat pe he ke apka amal itna qawi or pur asar ho ke hamzad hazir honay pe majboor ho jay. ye tassawr ke expert to mehboob hazir karny keliy bhi tassawar ke amliat bataty hain halanke ap zara zehn pe zor dain to apko ye nukta samjh ay ga ke ashiq to wesay bhi har waqt mehboob ke tassawar me rehta he to kia uska mehboob mehz uskay ashiq ke khayalon me khoy rehnay se ishq pe majboor ho jata he? hargiz nahin, balke aksar ashiq mehboob ke sapnay or khayalat me hi mar jata he weasy hi mehz kisi chiz ka tasawar kar leny se wo chiz apko mil nahin jati, khayalon or sapnon ki duniya me mil jay to or bat he.. wassalam
    Reply

8 comments:

  1. Aslam o Alikum umer bahi

    Main ye amal e hamzad in 21 days wala karna chahta hon mujay iss amal e hamzad ki ajazat chahye. Main ek peer ke saath rahan hon jin ka talluk sarhand sharif se tha aur wo silsala shishtiya se taluq rakhte thay unhon ne bi mujay ek amale hamzad diya tha jo ke sirf malomaat puhanchata hay mager kam nahi karta mager mujay issa amal chahye jiss se hamzad malomaat bi puhnchay aur kam bi karay. main ne ek amale hamzad kia tha jis main pase pusht charagh rakh kar 382 martaba azmimat e aalla parte hain 3 din ka amal hay intihaa 9 din ki hay hamzaad ko botel main band ker kay koalo karar kartay hain. maine ye amal bagair ajazat ke kia tha aur nakam rah. fizamana kamal/sahi ustad/amaal ka milna mushkil hay. Maine app ka blog about hamzad ke parah hay aur app ke replies to asker so i knew that you are a right person. Kindly give me allowence of above amale hamzad in 21 days. I am searching for the right amale hamzad and right person since 10 -12 years.
    I am looking for your kind reply.

    regards,
    baber

    ReplyDelete
  2. Aasalam o walikum ! :: ! > jo koi bhi Amal hamzad kar kar thuk chokha hai wo ham se rabit kar na thik time pass ki liya call mat karo thik

    +919689368251
    My Skypeid> mahir_shaikh

    Mahirshaikh.cool@gmail.com

    ReplyDelete
  3. assalamu alykum

    HAMZAD AMLIYAT KI DUNIYA / HAMZAD 2 TARAH K HEN AIK MOAKEL HAMZAD AUR DOSRA SHETAN HAMZAD , MOAKEL HAMZAD KO AMLIYAT ROOHANIYAT K ZARIAY SIRF APNEY SE MANOOS TO KIYAA JA SAKTA HAI MAGAR MUSSKHAR NAHI ! JAB K DOSRI QISAM KA SHETAN HAMZAD KO AMLIYAT K ZARIAY TABAY KIYA JA SAKTA HAI ROOHANI/ SIFLI DONO TARAH K AAMAL SE HAN CHUN K SHETAN HAMZAD HAI IS LIAY SIFLI YA SHETANI AAMAL SE KAREN TO ASAR JALDI HO GA !

    MAZEED MALOOMAT K LIAY VISIT OUR SITE :

    amliyatiduniya.blogspot.com

    kalajadooamil@gmail.com

    0092-308-4210228

    shukriya !

    ReplyDelete
  4. agar koi asli kala jadoo ka tamasha daikhana chata hai to is website ko visit karay
    http://jadookishaktiyan.blogspot.com

    ReplyDelete
  5. HAMZAD AMLIYAT KI DUNIYA / HAMZAD 2 TARAH K HEN AIK MOAKEL HAMZAD AUR DOSRA SHETAN HAMZAD , MOAKEL HAMZAD KO AMLIYAT ROOHANIYAT K ZARIAY SIRF APNEY SE MANOOS TO KIYAA JA SAKTA HAI MAGAR MUSSKHAR NAHI ! JAB K DOSRI QISAM KA SHETAN HAMZAD KO AMLIYAT K ZARIAY TABAY KIYA JA SAKTA HAI ROOHANI/ SIFLI DONO TARAH K AAMAL SE HAN CHUN K SHETAN HAMZAD HAI IS LIAY SIFLI YA SHETANI AAMAL SE KAREN TO ASAR JALDI HO GA !
    MAZEED MALOOMAT K LIAY VISIT OUR SITE :
    http://jadookishaktiyan.blogspot.com

    ReplyDelete
  6. Black Magic Specialist In Pakistan- Get Your Love Back:

    lost love back by using Black Magic Mantra. Black Magic Specialist Mantara is the process that controls other person’s mind and you can see the effects of that just in few days. Amil ji who is known a the best astrologer as well as has a great knowledge of hypnotism will provides all the useful information about the process of hypnotism that will surely helps you and you can make it possible to get your lost love back by using Black Magic Mantra's. If you are upset because you are not able to get your love back, then be happy for the reason that you can make it possible to bring your ex lost lover back by using the technique Black Magic that helps you to access one’s mind.
    Black Magic Specialist Services In Pakistan:

    Black Magic Specialist In Lahore
    Get love back by vashikaran
    Hypnotism specialist
    Kala jadu
    Girl vashikaran
    Muslim vashikaran specialist
    Wazaif for marriage
    Islamic vashikaran mantra
    Love marriage solution
    Husband wife problem solution
    Famous Muslim astrologer
    witchcraft specialist
    Love spells
    Muslim tantra mantra
    Islamic voodoo spell

    http://amliyatiduniya.blogspot.com/

    Email: kalajadooamil@gmail.com

    ReplyDelete
  7. Please make your site in better way black black and written content is very thin font the back ground must in light color so we can read without any hurdle. Hope u look into this matter we spent our money and time while visiting your site we pay net charges and/or Wi-Fi so please look into this matter. Thanks 😊

    ReplyDelete